husn par firaun ki phabti kahi hath lana yar kyun kaisi kahi daman-e-yusuf hi bhadkata raha ishq aur tark-e-adab achchhi kahi kaun samjhae ki duniya gol hai aap ne jaisi suni waisi kahi koi zid thi ya samajh ka pher tha man gae wo main ne jab ulti kahi dard se pahle karun fikr-e-dawa wah ye achchhi ultawansi kahi dost se parda kiya ye kya kiya aap-biti chhod jag-biti kahi shak hai kafir ko mere iman mein jaise main ne koi munh dekhi kahi kya khabar thi ye judai aur hai hae main ne kyun khuda-lagti kahi muft mein sun li 'yagana' ki ghazal an-suni kar di jo matlab ki kahi