ilaj koi jahan ka na sazgar aaya kisi tarah bhi na dil ko mere qarar aaya payam maut ka le kar khayal-e-yar aaya ajal ki gard mein hi zist ko qarar aaya nigah-e-lutf ke talib hain jo wo hain kam-zarf hamein to ulta jafaon pe teri pyar aaya ye kis ki yaad se raushan hui 'mir' duniya ye kis ka nam mere lab pe bar bar aaya khushi se badh ke qadam mere aablon ne liye koi jo rah mohabbat mein khar-zar aaya na koi laut ke aaya dayar-e-ulfat se jo koi bhi 'nayyar' ba-haal-e-zar aaya