in dinon bhi jabki wo taswir ke paikar mein tha main kai shaklon mein har manzar ke pas-manzar mein tha tha ghubar-alud wo tab bhi na pahchana use ab ke jab dekha to wo malbus sim-o-zar mein tha ye khandar jo dekhte ho tha kabhi ek aasman itna uncha tha ki saya bhi na baam-o-dar mein tha qatl ka ilzam us ne kah ke ye radd kar diya waqt wo daftar ka tha main us ghadi daftar mein tha thi wo shohrat ki hawas ya ishtihaaron ka fareb lapata chhapta tha jab akhbar mein wo ghar mein tha kya bataun dosto ek hashr-saman ka tha sath der itni yun hui main arsa-e-mahshar mein tha ek daramai asar lata tha wo stage par go shumar us shair-e-pur-fan ka bazigar mein tha