in tanon mein in tashnion mein poshida koi mafhum to ho

in tanon mein in tashnion mein poshida koi mafhum to ho
kis baat ka hum se shikwa hai wo baat hamein malum to ho

main khun-e-jigar se kaghaz par kuchh naqsh banati rahti hun
han tujh se koi mansub to ho han tujh se koi mausum to ho

wo log jo bhole-bhaale the dil wale mohabbat wale the
kis des mein aise log hain ab wo des hamein malum to ho

hain sher-o-sukhan mahfil mein bahut wo sher-o-sukhan hum kya jaanen
jo sher-o-sukhan thi zat teri wo sher-o-sukhan manzum to ho

wo log jo pahle jite the kya pyare aur chahete the
wo raaten zinda logon ki hum murdon ka maqsum to ho

lafzon mein teri yaadon ki chamak mani mein teri furqat ki lahak
is hile aur bahane se kuchh meri ghazal ki dhum to hai

ek jashn hai chand sitaron ka ek jashn hai gham ke maron ka
is jashn ka to hai shor bahut us jashn ki bhi kuchh dhum to ho

'anjum' ki ghazal ki tasiren khushiyon mein kahan hath aati hain
kuchh der zara ghamgin to rah kuchh der zara maghmum to ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close