in ko dekha tha kahin yaad nahin aasman tha ki zamin yaad nahin chand taron ki mundi thin aankhen tha kahan mehr-e-mubin yaad nahin naghma hi naghma tha ya rang hi rang hum makan the ki makin yaad nahin ahd-o-paiman ki jhamakti shamen kis tarah dub gain yaad nahin ab ye aalam hai ki khud hum ko bhi kyun hue barq-nashin yaad nahin maut pyari jo laga karti hai is qadar kyun hai ghamin yaad nahin ras bhari subhen nashili shamen kis ke hamrah gain yaad nahin rakh ke dher hain chaaron jaanib bastiyan kaise lutin yaad nahin jin ki tabir hain aansu 'shohrat' aaj wo khwab-e-hasin yaad nahin