is aalam-e-pur-dard mein dukh sab ka khuda hai dil bargah-e-dukh mein aqidat se khada hai ai sham-nashin raat ki tahwil mein aa ja ek khwab teri rahguzar dekh raha hai qum-be-iznil-ishq se dil zinda karega ye mujh se mohabbat ke masiha ne kaha hai danista kabhi chhu ke wo lazzat nahin pai jo lutf kisi lams ke dhoke se mila hai sawan ke pujari se kaho kya hi karega is bar to aankhon mein ghazab call pada hai wo koi qayamat nahin bas aafat-e-jaan tha bekar tere shahr mein ek hashr bapa hai sab haar diye jaane ka gham chhod yudhishthir madho ki taraf se ye shubhaarambh hua hai