is baat ko bhulen na musalman khuda ke kafir bhi haqiqat mein hain insan khuda ke wo kaun hai jis ko nahin kuchh us se shikayat wo kaun hai jis par nahin ehsan khuda ke badhta hi chala jata hai duniya mein tassub bante hi chale jate hain aiwan khuda ke jalti hain bahar-haal gunahon ki sazaen karte rahen hum kitne bhi gun-gan khuda ke duniya to haqiqat mein hai ek rain-basera hum sab to hain kuchh waqt ke mehman khuda ke mar kar bhi zaruri nahin paenge rihai duniya ke alawa bhi hain zindan khuda ke socho to zara bhi nahin insan ki waqat sudh-budh bhi khuda ki hai dil-o-jaan khuda ke 'parwaz' kabhi ghaur se ye baat bhi sochen ek bar bhi kaam aaya hai insan khuda ke