is bar mile hain gham kuchh aur tarah se bhi aankhen hain hamari nam kuchh aur tarah se bhi shoala bhi nahin uthta kajal bhi nahin banta jalta hai kisi ka gham kuchh aur tarah se bhi har shakh sulagti hai har phul dahakta hai girti hai kabhi shabnam kuchh aur tarah se bhi manzil ne diye tane raste bhi hanse lekin chalte rahe aksar hum kuchh aur tarah se bhi daman kahin phaila to mahsus hua yaro qad hota hai apna kam kuchh aur tarah se bhi us ne hi nahin dekha ye baat alag warna is bar saje the hum kuchh aur tarah se bhi