is dar se main ne zulf ki us ki na baat ki jati hai dur dur tak aawaz raat ki dekha jab aankh khol ke misl-e-habab tab malum kaenat hui kaenat ki us bulbul-e-chaman ki hui aaqibat ba-khair sae mein jis ne aan ke gul ke wafat ki main hun sifat hi ke tahayyur mein ham-nashin kya baat mujh se puchhe hai tu us ki zat ki dil apna us ko dijiye ya ji ko khoiye is ke siwa tarah nahin koi najat ki bola agar to qand-e-mukarrar hue wo lab aur chup raha to ye bhi hai surat nabaat ki waqif ho kyun na shola-e-atish se dil ke wo rahti hai baghban ko khabar phul pat ki shah chaal ho raha hun sanam tere ishq mein tu ne dikha ke rukh meri bazi hi mat ki zulf-e-araq-fishan teri jaan-bakhsh kyun na ho tarkib us ne pai hai aab-e-hayat ki us sar se ghair sar nahin waqif koi gharaz lazzat bayan mein aati nahin teri lat ki chun zindagi-o-marg hain aapas mein zid 'hasan' chashm-o-lab us ki zid hai hayat o mamat ki