is darja hua khush ki dara dil se bahut main khud tod diya badh ke tamannaon ka dhaga taki na banun phir kahin ek banda-e-majbur han qaid-e-mohabbat se yahi soch ke bhaga thokar jo lagi apne azaem ne sambhaala main ne to kabhi koi sahaara nahin manga chalta raha main ret pe pyasa tan-e-tanha bahti rahi kuchh dur pe ek pyar ki ganga main tujh ko magar jaan gaya sham-e-tamanna samjhi thi ki jal jaega shaer hai patinga aankhon mein abhi tak hai khumar-e-gham-e-jaanan jaise ki koi khwab-e-mohabbat se hai jaga jo khud ko badal dete hain is daur mein 'baqar' karte hain haqiqat mein wo sone pe suhaga