is guftugu se yun to koi muddaa nahin dil ke siwa harif koi dusra nahin aanhken taras gain tumhein dekhe hue magar ghar qabil-e-ziyafat-e-mehman raha nahin naqus koi bahr ki tah mein hai nara-zan sahil ki ye sada to koi nakhuda nahin mana ki zindagi mein hai zid ka bhi ek maqam tum aadmi ho baat to sun lo khuda nahin lutf-e-sukhan yahi tha ki khud tum bhi kuchh kaho ye wahm hai ki ab koi gosh-e-wafa nahin meri wafa barae wafa ittifaq thi mere siwa kisi pe ye afsun chala nahin us ki nazar taghayyur-e-haalat par gai koi mizaj-dan-e-mohabbat mila nahin