is ishq-e-junun-KHez mein kya kya nahin hota

is ishq-e-junun-khez mein kya kya nahin hota
diwana hai jo qais se laila nahin hota

kuchh hashr lahad par abhi barpa nahin hota
aae ho to thahro koi zinda nahin hota

kyun kar ye kahun husn ka nashsha nahin hota
hota to bahut hai magar itna nahin hota

kuchh kahiye to sharma ke jhuka lete hain gardan
bhule se bhi ab wada-e-farda nahin hota

milte hain wo dil surkh hui jati hai chutki
nazuk hain bahut khun-e-tamanna nahin hota

deti hai maza mai ka hamein talkhi-e-tauba
jab hath mein paimana-e-sahba nahin hota

wo hashr ke din kushte ko thukra chuke sau-bar
kuchh jaan si pad jati hai zinda nahin hota

boli ye tamanna jo ruke wo dar-e-dil par
ghar aap ka hai aap se parda nahin hota

tiron ko jagah dete hain jo sine mein apne
un logon ke ai jaan kaleja nahin hota

sahra se qadam ghar ki taraf khak uthaun
kante se juda panw ka chhaala nahin hota

baithe nazar aate hain wahi teri gali mein
jin ka kahin duniya mein thikana nahin hota

furqat mein hai kyun naza ki taklif gawara
mar jaen 'riyaz' aap se itna nahin hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close