is ishq ka anjam main kuchh soch raha hun

is ishq ka anjam main kuchh soch raha hun
han ai hawas-e-kham main kuchh soch raha hun

khali hue sab jam nahin koi bhi mai-kash
ai durd-e-tah-e-jam main kuchh soch raha hun

ji bhar ke tujhe aaj main dekhun ki na dekhun
ai husn-e-lab-e-baam main kuchh soch raha hun

apne dil-e-betab se main khud hun pareshan
kya dun unhen ilzam main kuchh soch raha hun

mere liye mahbub ki zulfon ki hawa la
ai gardish-e-ayyam main kuchh soch raha hun

tare se chamakne lage tarik faza mein
hathon mein liye jam main kuchh soch raha hun

ek wo bhi zamana tha ki farigh tha main 'saqib'
ab to sahar-o-sham main kuchh soch raha hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close