is par na ja ki dasht si viran hain putliyan wo din bhi the ki khwab ke hire jade rahe poshida til ki ot mein kohsar-e-jaan raha barson hamari zat pe parde pade rahe ek dandanati rail si umren guzar gain do ptriyon ke beach wahi fasle rahe ek umr teri yaad ke shahr-e-tilism mein patthar ka nisf aadmi ban kar khade rahe is khak-e-rah ko kar diya ham-dosh-e-zar magar sang aastan-e-yar ke patthar bane rahe