is qadar aam na kar anjuman-arai ko

is qadar aam na kar anjuman-arai ko
hum taras jaen mazaq-e-gham-e-tanhai ko

aazmaya jo kabhi us ne shakebai ko
manzilen dhundne niklin tere saudai ko

sun ke rudad-e-shab-e-hijr jo ki nichi nazar
chaar chand aur lage husn ki ranai ko

sarmadi kaif faqat ishq ke aaghaz mein hai
koi matlab nahin anjam se saudai ko

ab aziyyat mein kami aa gai ai daur-e-falak
tul kuchh aur jahan-e-shab-e-tanhai ko

tu ne sayyaad asiron ke faqat hont siye
salb aankhon se bhi kar quwwat-e-goyai ko

khalish-e-zulmat-e-anjam use kya hogi
shab-e-tanhai jo samjhe shab-e-tanhai ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close