is samundar pe ek ilzam hi dhar jaana hai pas sahil ke mujhe pyas se mar jaana hai kyun dikhate ho shikasta se purane raste mujh ko to ek nae sapnon ke nagar jaana hai aakhiri mod pe pahunchi hai kahani lekin dhal gai raat chalo lut ke ghar jaana hai bich mein lafz the tarsil ki nakaami thi main ne us ko mujhe us ne bhi digar jaana hai itni aasan nahin shaeri 'adil'-sahab lafz-o-mani ke samundar mein utar jaana hai