ishq-e-kaamil wabaal sahab kar gaya hai nidhaal sahab ishq aatish hai man pighalta mujh se dhaga nikal sahab tujh ko kho kar bhi aas zinda is ko kahte kamal sahab roz-e-yaum-e-hisab mera is qayamat ko tal sahab jit meri hai haar goya phir se sikka uchhaal sahab teri nafrat ka aasra hai kab hua hai malal sahab teri shamshir khun mange mera qura nikal sahab tum jo patthar mizaj thahre aainon ka khayal sahab phir hawa mein uda de chilman mujh ko hairat mein dal sahab