ishq ki garmi-e-bazar kahan se laun yusuf-e-dil ka kharidar kahan se laun sunte hi naghmon ki ek lahr ragon mein daude main teri shokhi-e-guftar kahan se laun wahi shorida-sari hai wahi iza-talabi ishq mein jada-e-hamwar kahan se laun ho gain aankhon se wo mast nigahen ojhal ishrat-khana-e-khummar kahan se laun dil ki dhadkan mein suna karta tha paigham tera ab wo hangama-e-bisyar kahan se laun us par aaina ho kis tarah haqiqat dil ki shauq-e-minnat-kash-e-izhaar kahan se laun mabad-e-dil mein parastar-e-mohabbat hun 'asar' rawish-e-kafir-o-din-dar kahan se laun