ishq ko duniyawi bazar nahin kar sakte

ishq ko duniyawi bazar nahin kar sakte
dil se dil ke dil pe war nahin kar sakte

ishq mein apni jaan laga di aur luta di
ab hum phir se waisa pyar nahin kar sakte

us ko chaha aur chahat par qaem bhi hain
par afsos ke hum izhaar nahin kar sakte

us ki hi taswir samai hai aankhon mein
ab hum tum se aankhen chaar nahin kar sakte

ishq mohabbat pyar wafa sab bimari hai
ab hum phir khud ko bimar nahin kar sakte

bahr-e-'mir' mein likhi hain main ne kuchh ghazlen
bin bahron ke hum ashaar nahin kar sakte

itna haq to main ne khud ko bhi na diya hai
mere prem ka tum inkar nahin kar sakte

mere hath pe panw rakho aur tum niklo na
ab hum donon daldal par nahin kar sakte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close