ishq ko taqlid se aazad kar dil se girya aankh se fariyaad kar baz aa ai banda-e-husn-e-majaz yun na apni zindagi barbaad kar ai khayalon ke makin nazron se dur meri viran khalwaten aabaad kar naza mein hichki nahin aai mujhe bhulne wale khuda-ra yaad kar husn ko duniya ki aankhon se na dekh apni ek tarz-e-nazar ijad kar ishrat-e-duniya hai ek khwab-e-bahaar kaba-e-dil dard se aabaad kar ab kahan 'ehsan' duniya mein wafa tauba kar nadan khuda ko yaad kar