ishq mein ab ke hamein jaan se guzarna bhi to hai kaam hone ka nahin kaam ye karna bhi to hai aur phir samne hai khak-nashinon ka jahan ye qadam hum ne kisi khak pe dharna bhi to hai aur ek kaam nikal aata hai har kaam ke beach hamein jina hi nahin hai hamein marna bhi to hai shahr mein aur bhi hoga koi khush-khu tujh sa aakhir-e-kar tere zakhmon ne bharna bhi to hai hum se be-maya hi taqdir hain is aalam ki khak ne chehra-e-dauran pe bikharna bhi to hai nahin aisa bhi jari koi magar is dil ne kisi andesha-e-be-nam se darna bhi to hai jab ye tai hai ki nahin laut ke aana hum ko dubna hai to kahin par utarna bhi to hai