ishq mein sunte to the lutf-e-jawani aur hai

ishq mein sunte to the lutf-e-jawani aur hai
jo magar guzri hai hum par wo kahani aur hai

us ne mathe par rakhe lab aur hue raushan nasib
sab mata-e-dahr mein us ki nishani aur hai

lafz-e-kun se ek duniya khalq karna tha kamal
kun ke aage jo hua us ki kahani aur hai

ek zakhm-e-dil se phute mukhtalif rangon ke dukh
hai alag khun-e-jigar aankhon ka pani aur hai

lagte honge pur-kashish arz-o-sama milte hue
nile kurte par tere ye shaal dhani aur hai

ek se dil hain juda lekin dhadakne ke sabab
raegan to sab hain lekin raegani aur hai

lamha lamha khinch kar barson chalate ho jo tum
ye hai qaid-e-ba-mashaqqat zindagani aur hai

tum parinde dekhne wale tumhein kya hai khabar
hai alag parwaz aur naql-e-makani aur hai

ho visal-e-yar ab ho surat-e-izhaar ab
ishq hoga jawedan ye jism-e-fani aur hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close