itna to dosti ka sila dijiye mujhe apna samajh ke zahr pila dijiye mujhe utthe na ta-ki aap ki jaanib nazar koi jitni bhi tohmaten hain laga dijiye mujhe kyun aap ki khushi ko mera gham kare udas ek talkh hadisa hun bhula dijiye mujhe sidq-o-safa ne mujh ko kiya hai bahut kharab makr-o-riya zarur sikha dijiye mujhe main aap ke qarib hi hota hun har ghadi mauqa kabhi pade to sada dijiye mujhe har chiz dastiyab hai bazar mein 'adam' jhuti khushi kharid ke la dijiye mujhe