itne unche martabe tak tujh ko pahunchaega kaun main hua munkir to phir teri qasam khaega kaun tere raste mein khadi thin kaun si majburiyan main samajh lunga magar duniya ko samjhaega kaun mil rahi hai jab hamein ek rahat-e-awargi laut kar is anjuman se apne ghar jaega kaun meri mazuli ki sunna chahte hain sab khabar sochta hun ja-nashin ban kar mera aaega kaun chahta hun ek chingari main is chaqmaq se lekin is patthar se aakhir mujh ko takraega kaun nek logon ke liye maujud ho tum ai khizar main agar bhatka to mujh ko rah par laega kaun us ke wadon mein 'qatil' ek husn ek ranai hai wo na hoga jab to us sa mujh ko bahalaega kaun