itni tazim hui shahr mein uryani ki raat aankhon ne bhi ji bhar ke badan-khwani ki nap sakta hai koi sard hawa tere siwa ye jo khandaq hai mere chaar-su virani ki dil ko mazul kiya ishq se tu ne lekin khak pe rah ke bhi sultan ne sultani ki sab udate hain meri sard-dimaghi ka mazaq yani duniya ko zarurat hai nigahbani ki phul kaun aise khilata hai mere chaaron taraf dhup ki jin ko zarurat na talab pani ki dabdaba badhta gaya shahr mein khush-haali ka mil gai dad mere dasht ko virani ki