itni unchai se dharti ki khabar kya jaane us ko mitti ne hi pala hai shajar kya jaane dafn hote na hasin khwab adhure lekin apne marne ki ghadi koi bashar kya jaane jis musafir ka pata puchh rahe ho us ki umr guzri hai masafat mein wo ghar kya jaane us ne nafrat ke siwa aur kabhi kuchh na kiya phir wo bad-zat mohabbat ka asar kya jaane aaj mauqa hai to yaron se nibha lo yari kal phir 'afrang' rahe kaun kidhar kya jaane