izzat usi ki ahl-e-nazar ki nazar mein hai sab kuchh bashar mein hai jo mohabbat bashar mein hai kya puchhte ho jauhar-e-tegh-e-nigah-e-naz ye us se tez hai jo tumhaari kamar mein hai qasid sawal-e-wasl sunen aur wo chup rahen kya kya na shan-e-be-khabari is khabar mein hai kya jaane kis sawal ka bheja hai ye jawab ek tir ek chhuri kaf-e-paighambar mein hai aur ek bar qalb ko tadpae wo nigah itni sakat abhi to hamare jigar mein hai ai dil kisi ki yaad bhi aur iztirab bhi itna nahin khayal ki mehman ghar mein hai ghabrae kyun na kashmakash-e-naza se 'diler' pahla ye ittifaq use umr bhar mein hai