jaane kya baat hai kyon shor macha rakha hai baat-be-baat ka afsana bana rakha hai kuchh na kuchh hai to sahi aaj tere kuche mein jo ye hangame pe hangama macha rakha hai jin ko pine ka saliqa hi nahin aata hai kyon unhen aap ne madhosh bana rakha hai warna tufan naya aane ka sabab ho jate hum ne jazbaat ko sine mein daba rakha hai kuchh kahoge to koi hal bhi nikal aaega raaz wo kya hai ki jo dil mein chhupa rakha hai koi ilzam burai ka laga de na amin apne kirdar ke daman ko bacha rakha hai