jaane kya baat hai kyun garmi-e-bazar nahin ab koi jins-e-wafa ka bhi kharidar nahin log ek shakhs ko le jate hain maqtal ki taraf is pe ilzam hai utna ki gunahgar nahin zindagi zakhm sahi zakhm ka darman kije koi is shahr mein zakhmon ka kharidar nahin paikar-e-sher mein dhal jae kisi ka chehra mere izhaar-e-mohabbat ka ye mear nahin teri ek nichi nazar umr ka sarmaya hai saqiya main tere saghar ka talabgar nahin yun bhi hum dard ko pahlu mein chhupa lete hain mujrim-e-shauq hain ruswa sar-e-bazar nahin apni marzi se yahan mujh ko baha le jae tez itni to abhi waqt ki raftar nahin aap ke dard se rishta hai mere dil ka 'rais' kaun kahta hai ki main aap ka gham-khwar nahin