jaane kya kuchh sun kar lauTa By Ghazal << aab ki tasir mein hun pya... aaj maqtal mein KHabar ha... >> jaane kya kuchh sun kar lauta chup hai wo jab se ghar lauta bachpan ka har nanha sapna thak kar budha ho kar lauta wo bhi aag bujhane nikla wo bhi hath jala kar lauta jaane kya sahil se kah kar ulte panw samundar lauta Share on: