jaane kyon kar is qadar sahma hua hai aaina aaine ko dekh kar bhi dar raha hai aaina kya koi masum si surat nazar mein aa gai kyon sawalon mein ulajh kar rah gaya hai aaina aap apne aap ko is se chhupa sakte nahin aap key ek ek ada se aashna hai aaina khwahishon ke jal mein uljha hua hai har bashar kaun kitna be-gharaz hai jaanta hai aaina aashiyan mera jalaya noch dale par mere aap ko is haal mein bhi dekhta hai aaina is liye sab ne nigahon se giraya hai use jis ki jaisi shakl hai wo bolta hai aaina hath mein patthar liye kyon badh rahe ho is taraf chot kha kar khud bhi patthar ban chuka hai aaina zulm ki talwar ke sae mein bhi hun sajda rez 'anwari' har haal mein pahchanta hai aaina