jaante hain ahl-e-dil la-jawab hain hum log

jaante hain ahl-e-dil la-jawab hain hum log
dahr ke shabistan mein mahtab hain hum log

narm garm hathon mein ek gulab hain hum log
thande thande mausam ka aaftab hain hum log

dekhne mein waise to ek habab hain hum log
han magar har ek lamha inqalab hain hum log

khun ke pyase zalim ko dil-figar qatil ko
aaina dikhane mein kaamyab hain hum log

harf-o-lafz-o-mani ki jis mein bahti hai ganga
padhna chahe to dil ki ek kitab hain hum log

ilm-o-fikr-o-hikmat ki shamen hum jalate hain
fann-e-ilm-o-hikmat mein be-hisab hain hum log

jis ko pi ke duniya sab jhum jhum uthe 'nadir'
ahl-e-haq ki mahfil ki wo sharab hain hum log


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close