jab adhure chand ki parchhain pani par padi raushni ek na-mukammal si kahani par padi dhup ne kachche phalon mein dard ka ras bhar diya ishq ki uftad na-pukhta jawani par padi gard khamoshi ki sab mere dahan se dhul gai is qadar barish sukhan ki be-zabani par padi us ne apne qasr se kab jhank kar dekha hamein kab nazar us ki hamari be-makani par padi asl sone par tha jitna bhi mulamma jal gaya dhup us shiddat ki alfaz-o-maani par padi tark kije ab dilon mein narm goshon ki talash be-hisi ki khak harf-e-mehrbani par padi zakhm-e-dil us ki tawazoa mein namakdan ban gaya ye musibat bhi hamari mezbani par padi apne hathon tutne ka tajraba to ho gaya chot be-shak sakht thi jo khush-gumani par padi