jab bhi aansu gira tha kaghaz par raushni ka diya tha kaghaz par meri aankhen tawaf karti thin dil kisi ka rakha tha kaghaz par bhar gaya raushni se ghar mera nam kis ka likha tha kaghaz par marne jine ki khai thin qasmen main ne ye bhi padha tha kaghaz par pyas ki ban ke aa gai taswir main ne dariya likha tha kaghaz par yun laga meri aankh ka aansu jaise suraj rakha tha kaghaz par us ne lamhe likhe the furqat ke dil madina bana tha kaghaz par lafz ashaar hijr ki baaten dard ka marsiya tha kaghaz par aankh se gir ke ban gae moti karbala likh diya tha kaghaz par