jab bhi kashti ke muqabil bhanwar aata hai koi jagmagata sar-e-sahil nazar aata hai koi be-rukhi us ki dilati hai jahan ka ehsas liye duniya ki khabar be-khabar aata hai koi shiddat-e-yas mein chupke se ujalon ki tarah mere tarik khayalon mein dar aata hai koi tan-e-tanha to safar dil pe giran guzrega muntazir hun ki mere sath agar aata hai koi dub jata hai judai ki shafaq mein din ko ufuq-e-khwab se shab ko ubhar aata hai koi ashk pita hun main tiryaq samajh kar jis waqt zahr ban kar rag-e-jaan mein utar aata hai koi hijr saman hai rawan su-e-shab-e-wasl 'shahab' dhup odhe hue zer-e-shajar aata hai koi