jab bhi koi baat ki aansu dhalke sath hum bhi pagal ho gae man pagal ke sath raat ko kali chandni din ko kali dhup dhunden aanhken raushni rahen dhundalke sath maren tamak-toiye andhiyare mein log tare sare bujh gae dil ke kanwal ke sath aaj hai man mein ran pada aaj ki rakkho laj jhuti kal ki dosti jhute kal ke sath pap karo ji khol kar dhabbon ki kya soch jab ji chaha dho liye ganga-jal ke sath guru to khair guru hua us ki bhali kahi chalta hai kya baalaka uchhal uchhal ke sath rail bajae sitiyan daudo waqt chala huqqa pine chaudhari gaya ajal ke sath toton ne hain aaj kal khole yahan school bailon ne hain aadmi jute hal ke sath aan ki aan mein ho gai duniya aur se aur hum tum baithe rah gae bite pal ke sath duniya ki ye rit hai mange bhik na de pae wahi jo chhin le badh kar bal ke sath koi waqt ko rok lo gaya na aae hath aata pal bhi lo gaya jate pal ke sath ghar baithe hogi nahin wahshat dil ki dur ras rachi hai shahr mein dekho chal ke sath madh mate ka sath kya aai lahr gaya partaw le man banwara har aanchal ke sath hum ko dekho pi gae matke zahar bhare tum to be-sudh ho gae ek botal ke sath jata tha ek qafila rup-nagar ki aur hum bhi 'anjum' ho liye bhes badal ke sath