jab bhi tere makan se guzre kaise kaise guman se guzre shorish-e-bahr-e-be-karan thi magar hum badi aan-ban se guzre main ki ab tak hun rahguzar ka amin aur sab is jahan se guzre rah-e-maqtal gawah hai ab bhi hum the mansur shan se guzre kuchh to guzre bade yaqin ke sath aur kuchh bad-guman se guzre jo kadi dhup ke sawali the kyon wahi saeban se guzre