jab bhi us ki khwahish rakhna achchha hai kuchh danish rakhna lakh mana kar dene par bhi jari apni koshish rakhna main ne mohabbat sikhlai thi sikha kis ne ranjish rakhna dil mandir masjid jaisa hai dil mein na koi sazish rakhna khwahish mein sar bhi jate hain soch samajh kar khwahish rakhna chahat ka matlab hota hai dil mein zinda aatish rakhna hans dene par us ke aage koi mat farmaish rakhna