jab chaha iqrar kiya hai jab chaha inkar kiya dekho hum ne khud hi se ye kaisa anokha pyar kiya aisa anokha aisa tikha jis ko koi sah na sake hum samjhe patti patti ko hum ne hi sarshaar kiya rup anokhe mere hain aur rup ye tu ne dekhe hain main ne chaha kar bhi dikhaya ya jangal gulzar kiya dard to hota hi rahta hai dard ke din hi pyare hain jaise tez chhuri ko hum ne rah rah kar phir dhaar kiya kale chehre kali khushbu sab ko hum ne dekha hai apni aankhon se un ko sharminda har ek bar kiya rote dil hanste chehron ko koi bhi na dekh saka aansu pi lene ka wada han sab ne har bar kiya kahne jaisi baat nahin hai baat to bilkul sada hai dil hi par qurban hue aur dil hi ko bimar kiya shishe tute ya dil tute khushk labon par maut liye jo koi bhi kar na saka wo hum ne aakhir-kar kiya 'naz' tere zakhmi hathon ne jo bhi kiya achchha hi kiya tu ne sab ki mang sajai har ek ka singar kiya