jab dida-e-bina ka hawala nahin milta phir koi bhi duniya ka hawala nahin milta wo aalam-e-baala to tere dil mein makin hai jis aalam-e-baala ka hawala nahin milta aala mein to adna ke hawale hi hawale adna hi mein aala ka hawala nahin milta jis jaan-e-tamanna ke hawale hai meri jaan us jaan-e-tamanna ka hawala nahin milta ye ruh sawalat hai ya koi munajat kya milta hai bas kya ka hawala nahin milta hum aaj hain aur aaj tu hai kal se bhi aage achchha hai jo farda ka hawala nahin milta paida hai to pinhan ke hawalon se bhara hai pinhan se to paida ka hawala nahin milta tu apne hawale ki hawa kha ke hi khush rah har aan hawala ka hawala nahin milta behtar hai ki ab khud se juda ho ke bhi dekhen dariya mein to dariya ka hawala nahin milta 'mashkur' meri jaan chale aae ho tanha tanha ko to tanha ka hawala nahin milta