jab ho chuki sharab to main mast mar gaya shishe ke khali hote hi paimana bhar gaya ne qasid-e-khayal na paik-e-nazar gaya un tak main apni aap hi le kar khabar gaya ruh-e-ruwan-o-jism ki surat main kya kahun jhonka hawa ka tha idhar aaya udhar gaya tufan-e-nuh is mein ho ya shor-e-hashr ho hota jo kuchh hai hoga jo guzra guzar gaya samjha hai haq ko apne hi jaanib har ek shakhs ye chand us ke sath chala jo jidhar gaya shoridgi se meri yahan tak wo tang the rutha jo main to khair manai ki shar gaya main ne bhi aankhen dekhi hain pariyon ki jao bhi tum ne dikhai aankh mujhe aur main dar gaya guzra jahan se main to kaha sun ke yar ne qissa gaya fasad gaya dard-e-sar gaya kaghaz siyah karte ho kis ke liye 'nasim' aaya jawab-e-khat tumhein aur nama-bar gaya