jab hua irfan to gham aaram-e-jaan banta gaya soz-e-jaanan dil mein soz-e-digaran banta gaya rafta rafta munqalib hoti gai rasm-e-chaman dhire dhire naghma-e-dil bhi fughan banta gaya main akela hi chala tha jaanib-e-manzil magar log sath aate gae aur karwan banta gaya main to jab jaanun ki bhar de saghar-e-har-khas-o-am yun to jo aaya wahi pir-e-mughan banta gaya jis taraf bhi chal pade hum aabla-payan-e-shauq khar se gul aur gul se gulsitan banta gaya sharh-e-gham to mukhtasar hoti gai us ke huzur lafz jo munh se na nikla dastan banta gaya dahr mein 'majruh' koi jawedan mazmun kahan main jise chhuta gaya wo jawedan banta gaya
Please share if you liked this!!!