jab koi bhi khaqan sar-e-baam na hoga phir ahl-e-zamin par koi ilzam na hoga kal wo hamein pahchan na pae sar-e-rahe shayad unhen ab hum se koi kaam na hoga phir kaun samajh paega asrar-e-haqiqat jab faisla koi bhi sar-e-am na hoga ye ahd-e-rawan khak-nishan dhyan mein rakkho phir dhundoge kis ko jo koi nam na hoga banne ko hai ek roz parindon ka muqaddar utrenge to ham-rang-e-zamin dam na hoga mahfil mein agar zikr ho arbab-e-wafa ka aisa nahin 'rahat' ki tera nam na hoga