jab meri kahani mein wo kirdar nahin ab ja man liya pahle sa mear nahin ab le tere hi kahne pe tujhe chhod diya hai kyon aur kahan kaise ki takrar nahin ab kuchh shauq na hasrat na tamanna na guzarish duniya se mera koi sarokar nahin ab wahshat bhi tabiat mein hai aur josh-e-junun bhi takrane ko sar samne diwar nahin ab ab zabt nahin baqi hai dil bhar chuka mera ye tane ye bigdi hui guftar nahin ab ab koi bhi dawa nahin kar sakta hai mujh par duniya mein koi bhi mera haqdar nahin ab is dil ko 'siya' rog lagana nahin achchha bas aur udasi bhare ashaar nahin ab