jab mili un se nazar mitne ka saman ho gaya ai qaza khush ho tera ab kaam aasan ho gaya dilruba malum hoti hain mujhe tanhaiyan naqsh har shai ka mujhe taswir-e-jaanan ho gaya meri khwahish thi ki lutun lazzat-e-duniya magar wusat-e-hirs-o-hawa se tang daman ho gaya badh rahi hain qimaten har chiz ki bazar mein ek aisa gham hai jo ab aur arzan ho gaya shomi-e-qismat kahen ya khaslat-e-insan ise aa ke qabiz bazm-e-hasti par ye mehman ho gaya shoala-zan hai dil yahan to dagh-ha-e-ranj se aur wo kahte hain khush ho kar charaghan ho gaya dekh kar chaaron taraf aasar-e-gham aah-o-fughan kya karun 'maghmum dil mera hirasan ho gaya