jab nam tera lijiye tab chashm bhar aawe is zindagi karne ko kahan se jigar aawe talwar ka bhi mara khuda rakkhe hai zalim ye to ho koi gor-e-ghariban mein dar aawe mai-khana wo manzar hai ki har subh jahan shaikh diwar pe khurshid ka masti se sar aawe kya jaanen we murghan-e-giraftar-e-chaman ko jin tak ki ba-sad-naz nasim-e-sahar aawe tu subh qadam-ranja kare tuk to hai warna kis waste aashiq ki shab-e-gham basar aawe har su sar-e-taslim rakhe said-e-haram hain wo said-fagan tegh-ba-kaf ta kidhar aawe diwaron se sar marte phirne ka gaya waqt ab tu hi magar aap kabhu dar se dar aawe waiz nahin kaifiyyat-e-mai-khana se aagah yak jura badal warna ye mindil dhar aawe sannaa hain sab khwar azan jumla hun main bhi hai aib bada us mein jise kuchh hunar aawe ai wo ki tu baitha hai sar-e-rah pe zinhaar kahiyo jo kabhu 'mir' bala-kash idhar aawe mat dasht-e-mohabbat mein qadam rakh ki khizar ko har gam pe is rah mein safar se hazar aawe