jab se dil mein tere baKHshe hue gham Thahre hain

jab se dil mein tere bakhshe hue gham thahre hain
mahram aur bhi apne liye hum thahre hain

gham ki har daur mein thahrae gae hasil-e-zist
aur is daur mein hum sahab-e-gham thahre hain

hum teri rah mein utthe hain bade azm ke sath
gardish-e-dahr bhi thahri hai jo hum thahre hain

shauq-e-awargi-o-shauq talab ke qurban
uth gae hain to kahan apne qadam thahre hain

main tasawwur se kabhi jin ke laraz uthta tha
wahi haalat mohabbat ka bharam thahre hain

maghfirat hi sahi mai-khana-o-mai ke mani
ki yahan aaj safiran-e-haram thahre hain

sirf aankhon hi mein kam ruk na sake meri 'rais'
mere aansu kisi daman mein bhi kam thahre hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close