jab se suna dahan tere ai mah-ru nahin sab chup hain ab kisi ki koi guftugu nahin nikle jo qalb se wo meri aarzu nahin tu mil hi jae gar to main samjhun ki tu nahin aankhen lada rahe ho sar-e-bazm ghair se aur mujh se ye bayan ki hum jang-ju nahin paida hua hai ek ki zid ek khalq mein izzat hai ghair ki tu meri aabru nahin tanke na khaen zakhmi-e-tegh-e-nigah-e-naz kahne ko ho ki jama-e-tan mein rafu nahin mashuq kaun sa hai na ho dil mein jis ki yaad is mukhtasar se bagh mein kis gul ki bu nahin ye haal teri wada-khilafi se ho gaya ab to qasam bhi khane ko mujh mein lahu nahin piri hai aashiqi ka maza ja chuka 'rashid' wo hum nahin wo dil nahin wo aarzu nahin