jab tak nigar-e-dasht ka sina dukha na tha sahra mein koi lala-e-sahra khila na tha do jhilen us ki aankhon mein lahra ke so gain us waqt meri umr ka dariya chadha na tha jagi na thin nason mein tamanna ki naginen us gandumi sharab ko jab tak chakha na tha dhunda karo jahan-e-tahayyur mein umr bhar wo chalti phirti chhanw hai main ne kaha na tha ek bewafa ke samne aansu bahate hum itna hamari aankh ka pani mara na tha wo kale hont jam samajh kar chadha gae wo aab jis se main ne wuzu tak kiya na tha sab log apne apne khudaon ko lae the ek hum aise the ki hamara khuda na tha wo kali aankhen shahr mein mashhur thin bahut tab un pe mote shishon ka chashma chadha na tha main sahib-e-ghazal tha hasinon ki bazm mein sar par ghanere baal the matha khula na tha