jab to main hun aah mein aisa asar paida karun ai sitamgar tere dil mein apna ghar paida karun yan to ye aadat hai kis kis ka karega tu ilaj roz bimari se main do chaar agar paida karun ye taghaful wasl ki shab puchhte hain mera haal ab duaen mang kar dard-e-jigar paida karun aankh utha kar jis taraf dekhun wahi aae nazar aankh wo paida karun aur wo nazar paida karun fikr se izaon ki ulti suna jae hain ghair aisa dil paida karun aur wo jigar paida karun jo tumhein manzur hai wo kah na do kyun chup raho phir khata meri koi hujjat agar paida karun teri furqat main gawara kar sakunga kis tarah kis ka dil laun kahan se ye jigar paida karun hae dil ranjish ka sadma ek-dam uthta nahin khud manaen wo main itni baat gar paida karun kuchh ruka dekha jo mujh ko to suna kar ye kaha ye to achchhi thahri ab logon ka dar paida karun main hi hun mujh sa agar dhundo jahan mein mubtala tu hi ho tujh sa hasin duniya mein gar paida karun achchha achchha dar ko kar lo band mujh ko dekh kar sar ko takraun abhi diwar-o-dar paida karun sab kuchh aata hai magar yan aql hairan hai meri tere dil mein rah kyun-kar fitnagar paida karun ab teri jhuti lagawat mein na aaunga kabhi muft iza paun nahaq dard-e-sar paida karun kahte hain kya tujh pe guzri thi mere jaane ke baad kya bataun kaise wo waqt-e-sahar paida karun kyun 'nizam' us waqt to tum man jaoge mujhe dosti us dushman-e-jaan se agar paida karun